Tuesday, October 4, 2011

Ghalib

Jala Hai Jism Jaha Dil Bhi Jal Gaya Hoga”
“Kuredtey Ho Jo Ab Raakh, Justjoo Kya Hai”




Humne Maana Ke Taghaful Na Karoge, Lekin’’
’’Khaak Ho Jaayenge Hum Tumko Khabar Hone Tak.

“Mujh Tak Kab Unki Bazm Mein Aata Tha Daur-e-Jaam”“Saaqee Ne Kuch Mila Na Diya Ho Sharaab Mein.


Hazaaron Khwahishein Aisee Ke Har Khwahish Pe Dam Nikley””Bahut Nikle Mere Armaan Lekin Phir Bhi Kam Nikle.


Fikr-e-Duniyaan Mein Sar Khapaata Hoon””Main Kahaan Aur Yeh Wabaal Kahaan.


ham wahaan hain jahaan se hamko bhee
kuchch hamaaree Khabar naheen aatee
aage aatee thee haal-e-dil pe hansee
ab kisee baat par naheen aatee
maut ka ek din mu'ayyan hai
neend kyon raat bhar naheen aatee ?"


__________________




No comments:

Post a Comment